• Flash News
  • Saheb Valiullah's 32nd Urs Sharif - on 22.11.2023. Applying SANDAL Mubarak at Mazar Sharif & dua at 11.30pm.                           

Biography Of Hazrath Saheb Waliullah in URDU

Allah - beginning with the name of - the Most Gracious Merciful, the Most Sallallahu alan-Nabiyyil Sallallahu alaihi wasallam Salatan- wasalamanalaika Ya Rasoolallah.
Assalaammualikum Wa Rahamathullah Wa Barakatahu.
SHORT IN URDU
BIOGRAPHY OF HAZRATH SAHEB WALIULLAH OF THANJAVUR
Peer-o-murshid sahib qibla (RA) ki zindagi ka ek taayirana jayza wakiyath ki roushini mein

AAP KI VILADATH BA,-SAADATH

Saheb qibla ki viladath basaadath 2 Rajabulmujarab 1342 hijri (7th February 1924) baroz-e- jumma mubarak dar shahar-e- Thanjavur makkan Saqaf mein huei. QADRI SHUTTHARI CHISTHI NAQSHBANDI hai Aap ka naam naami ismegirami SYED SHA SIRAJUDDIN MOHAMMED SAQAF QADRI SHUTTHARI CHISTHI NAQSHBANDI urf SYED ISMATH PASHA SAQAF QADRI SHUTTHARI CHISTHI NAQSHBANDI hai. Aap ke walid ka naam SYED SHA HASSANUL MUSSANA SAQAF urf C.S.PEERAN, jo asthane SYED SHA RAHMATHULLAH VALI(HAZRATH MOHAMMED GHAUS GWALIOR’S brother’s grandson i.e. Hazrath ke Bhai ke Poothe) ke sajjade aur Killai inam ke muthavalli they. Aap ke walida MAHMOODUNNISA BEGUM urf BIBI Hyderabad ke theen. Farzande Aawal Peer-o-murshid SYED SHA SIRAJUDDIN MOHAMMED SAQAF QADRI SHUTTHARI CHISTHI NAQSHBANDI. Farzande Sahni SYED SHA SIRAJUDDIN AHMED SAQAF urf SYED AHMED PASHA SAQAF. Aap ki walida maajida ka saayae shafaqath bachpan hi mein uth chukka tha aap ke walid maajid ne aqd saani karliya.

AAP KI PARVARISH AUR IBTIDAYI TAALIM

Killai,Chidambaram mein parvarish aur ibtidayi taalim huei. Aapko Hafiz-e-quran banne ka badahi shaukh tha. Aap 10,12 paaron ke hafiz bhi they. Aap ki deeni taalim mukhthalif arabi madrason mein huei ( Madarsaye Lathifiya, Hazrath Makaan Vellore aur Madarsaye Bakhayathus salihath ,Vellor aur shumaali madarsoan mein bhi aapne taalim hasil ki). Madarse se waapsi ke baad aap ke walid buzurgwar ki eimaa par apni taaimaa(Hazrath SHAMSUNNISA BEGUM SAHEBA urf SALEM WALE BI) jo aulad na hoone ki wajahse aapku goud le liya. (Jeen ka mazaar sharif aaphi ke pahloo mein hai) in ke saath Aasar Shariff Thanjavur mein khayam pazeer ho gaye.

AQAD AUR NIKKAH

Aasar shariff Thanjavur mein chand saal khayam kiya.Aap ka rishta, Apni khalazaath behen jo Pulimankulam, Tirunelveli Dist. mein muqeem thaiy, unsay huaa.. Shaadi ke baad Dulha,Dulhan ku aap ke walid majid apne mukhaam par nahin le gaye balke Aasar shariff Thanjavur mein apni thaiyma SALEM WALI BI ke saath khayam karne ka farmaan sadr kardiya.

SAHEB WALI KI RAFIQ HAYAATH KA SABR-O-ZABTH

Saheb qibla ki zoujiya mohtharma SAJIDUNNISSA BI SAHEBA .Bi Saheba un dushwar guzaar halthon mein har khadam par mushkilaath ka samna karna padhtha tha. Har mushkil kaam par sabr-o-zabth se kaam liya. Sahi maanom mein aap peer-o-murshid ki rafiqe hayaath sabith huei. Har waqt har haal mein Sahebe qibla ki kidmath aur farma bardari ki aur uff tak na kaha. Kabhi hurf-e- shikayath zabaan par nahin laaya.

AULAAD

Saheb waliullah ke aulad mein teen farzand aur do dukhthar husne yaadgaar hain . Pehle farzand SYED ABDUL WAHAB SAQAF urf SYED SHAFEEQUL AMEN jo tibbi taur par mazoor they aur jeen ka intakal 27 Rajab-ul-mujarab Hijri 1423 (6th October 2002) mein hua. Doosre farzand SYED SHAH MUSA SAQAF urf SYED MUTTHAR SAQAF QADRI SHUTTARI M.Com.,.M.phil jo angrazi ke mashoor aqbaar "THE HINDU" Ke CHIEF OF BUREAU, Trichy branch mein hain aur peer o murshid shaeb ke bade khalifa hain. Teesre farzand SYED SHAH ABDUL RASOOL SAQAF urf SYED VAJIHUN NAQI SAQAF QADRI SHUTTARI LATIFI aapke khalifaye saahni hain . Pahli dukhtar AFIYA BI urf FARIHA BI aur dosri dukhtar AMTHU ZEHRA hain.

KUTUB BINI AUR SHAUK KA MUTHALA:-

Aap ka shaukh-e-kutub bini aur muthala qabile rashq hai. Aap Aasar shariff mein ithminaan aur sukoon ke saath URDU, FARSI, ARABI QALMI NUSKE aur MATHBA QUTUB ke muthale mein shab-o-rooz masroof rahthe they. Aapne firasathse faida uthaya aur amli isthfad kiya. Aapne zaati muthale se badi amli khabiliyath aur isthadath hasil karli khususan ilme tasafuf aur irfaniyath mein ilme jafar amliyath thavizath mein kamal darje ki dasth ras hasil kardi. Deeni anu fanni ilme mein ghair mamoli thajurba hasil ho gaya . Fanne tasafuf mein aapka qalbi roojan aur khususi lagao tha jisme aapko yarthavali hasil tha.

QUVATHE HAFIZA AUR YADAASH

Aap ki yaaddash ka ye aalam tha jo aapme rashku haiyrath angez tha. Aqbar beeni aur qasrathe muthale ke bawajooth quwathe hafiza ka ye aalm tha ke jis masle ko dekhna chahthe to fauran us qitab ku almirah se utha lethe saffa aur sathr thak zehen mein mahfooz thi.

Aham qalmi nuskon ke wo dil dada they aur usko mahfooz rakhne ki badi fikr thi iske ishath bi farmayi jo qabile zikr hai. Jis qitab ku aapne shaye farmaya he oh SIRRUNNUMMA thi jo HAZRATH SYED SHA RAHMATHULLAH WALI ki tasneef lathif thi. Iske alava 100se zyada qalmi nuskon ko Xerox karke mahfooz rakha hai jo aaj bhi aapki library mein mahfooz hain.

Personality And Appearance

Saheb Waliullah Had A Pleasing Personality, Simple And Decently Dressed, Pleasing Face, Glittering Eyes, Bright Forehead And Sweet Tone. He Used To Talk In Attractive Manner To Any One Whether, He Is Rich Or Poor Strong Or Weak, Hindu Or Muslim, Or Christian, Beliver Or Atheist , His Manner Of Talk Wass Ever Absorbing And Pleasing As Ever. Everybody Liked Him To Talk And Spent Days With Him And Getting A Bit Of Advice From Him, Thus Getting Enlighted.

RIYAAZATH AUR CHILLA QASHI

Nafs qashi aur roohani taaqath ko faraq thene keliye aapne muthaadath riyazathein aur chilla kashien ki hain dauran-e- chillakashi mein pheki aash aur thanda pani aapki giza hoti thi. Chillkashi aur aithikhab ke mukhamath darja zain hain.

  1. Aasar-e-shariff, Thanjavur.
  2. Hazrath Mansoor Makaan Dargha, shariffThanjavur.
  3. Hazrath Saani Sultan Dargha shariffa, Vergurumandi.
  4. Hazrath Qutubissha Sahaeb Dargha shariff, Trichy.
  5. Hazrath Tablealam Badsha Dargha shariff, Trichy.
  6. Hazrath Peersha Qadri Dargha shariff, Thanjavur.
  7. Hazrath Syed Musthafa Dargha shariff, T-Kalathur.
  8. Hazrath Khwaja Pahadi Dargha shariff, Trichy.
  9. Tambaram ka Pahad, Chennai.
  10. Cheeni Alava Masjid, Thanjavur.
  11. Hazrath Baba Faqruddin Dargha Sarwar Sheriff, Ajmer Rajasthan..

Aapke chillakashi ke chand mukhamaath aise bhi hain jahan din dahade kisi insaan ka guzar mushkil tha. Duraane chillakashi mein roze ke saath saath giza bhi pheeki aash hua karthi thi. In chillkashun aur riyazathun se aapne apne nafs par qabu hasil kar liya aur roohaniyat hasil karle jiske baad ba manzil vilayath pahunch gaye. Aap ke vilayath ke chashmadeeth vaqayath aainehayath he sadar ho chuke hain jisse makhlooke khuda ne bahuth faida uthaya.

Aap marthaba-e-vilayath mein faiz hone main Hazrath Ekhare Masthan aur Dohare Masthan, Thanjavur aur bilkhusus Hazrath KHADAR WALI, NAGOOR ki dawath-e-eima par amal pairva hone se inthihad darja ka kamaal buland mukhaam paya.

AAP KI WAJAHATH WA HULIYATH

Mayana Khad, Tabassum Chehra, Ubhra Hua Ruqsaar, Badi Badi Chamakhdar Aankhen, Kushada Peshaani, Gunjaan Aabaroova Ghani Resh aur Badi Jazcbwa Dilkash Shaksiyath thi. Har shaks se Hindu ho ya Musalman , Ameer ho ya Gareeb, khanda peshani aur khush akhlaqi se pesh aathe aur Muskurathe hue milthe jo shaks ek bar aapse milta aapki dil aawez gufthaguse muthasir ho jaatha dobara milne ka mushtaq aur muthamanni rehtha aapke roohani chehre mein khususi kashish thi jo dilon par hukmarani karle thi thien.

AAP KI SHUGUFTHA MEEJAZI AUR SHEERIN KALAMI:-

Aap hamesha hashash-Bashaas rehte they. Aap ki tabiyat bagh-u-bahar thi. Shuguftha kunda peshaani aap ka tariye imtiyas tha. Ilmi gufthagu aur lataif-va-zaraif se bahut mahzooz hote aalim dosth they. Ahle illm aur ahle dil ke Qadr aur manzillath farmatey sakhan faham they. Sher-o-shayari se dilchaspi thi. Ache ashaar par khoob dil khool kar dad dete. Aap ki gufthgu badi sanjida aur muatanath ka aayinadar hothi thi kurmugaz aur kurmane hothi thi. Aapki sheerin kalami aur dil chasp andaz-e-gufthagu se samaeen aur hazareen bahut luthf andaaz hote they.

TARZE ZINDAGI AUR KHURDANOSHE

Aap ki zindagi takaluf-o-tasna is aari thi. Aap ko sadgi bahut pasand thi. Libaas mein do khamees aur do lungiyon ka hi saal bhar mein istmaal karte they. Giza mein sadgi aur rahen sahen mein bhi sadgi aur baytakallufi thi. Sabziyaan aur phal aapki behad mehboob aur margoob giza thi. Ek takiya ek chatayi aur ek chadar aapka samane istaarhath tha. Aap ne apne chahne walon ko bhi sadgi mein rehna pasand kiya.

AAP KI MEHMAN NAWAZI

Aap bade mehman nawaaz aur mehmanon ki aamad se aap bayhdh khushi mehsoos karte they. Killa ek dihaath honeke bawajood dasthar khaan par kayi kism ke lawazmath hoate they. Aap bahuth kam khate aur mehmanon ku khuub khilate. Aksar mehmanon se mazirath khaw hote ke aap ki khatir khaw mezbani na ho saki. Door daraz se aaye huve muridoonku khila pila kar ilaj karte. Ye roohani ilaj hua karta tha. Ye ilaj ki kisi kism ki fees wagaira nahin lete. Peer-o-murshid sahib qibla se log ilaj se farig ho kar seahath yabi ke baad kuch nazrana pesh karte tho jo kabhi qubool farmate kabhi inkaar kardetey.

AAP SAHEB-E-VILAYATH THEY

HAZRATH KHWAJA HABIBULLA QADRI CHISHTHI NAQSHBANDI, Mannargudi aur Thirvarur ke SUFI ABDUL MAJEED SAHEB ki zubaan-e-haq tarjumaanse baar ha ye suna hai ke SYED ISMATH PASHA SAQAF zinde wali hain khandane SAQAFIYA ke chashmo chirag hain. Sufiyath aap ki tabiyath mein rach gayi hai. Dono saheban ka farmaan hai ke koi mubaligan nahi balke haqikath par mubanni hain. Mausaf ne ek haqikat ke tharf nishaan dahi farmayi hai isme koi shak aur shuba nahi ke aap saheb-e-vilayath aur saheb-e-tasaroof they. Vilayath ku aawam se poshida rakhne ke bawajood iski jhalkiyan zahir ho gayi thi. Ahle dil sahib-e-basirath hazrath ku ye haqikat roshan thi ke aap zinda wali aur saheb-e-karamath hain.

Isme koi shak nahi ke aap HAZRATH MOULA ALI MUSHKIL KUSHA ke dulare, HAZRATH GAUS-E-PAK ke pyare, HAZRATH KHWAJA GARIB NAWAZ ke aankhon ke taare, HAZRATH KHADER WALI GANJE SHEVAYI ke ladle aur HAZRATH SHEIKH DAWOOD WALIULLAH ke har dil azeez aur HAZRATH SULTAN IBRAHIM SHAHEED. Yervadi ke azeez wa mehboob they. In buzurgoan ke alava HAZRATH TABLEY ALAM BADSHA,Trichy HAZRATH SYED ALI MEERAN DATTAR,Unjha Shariff aur digar aulia-e-kiram aap ki majhlis-e-ilaj mein hazir hothi aur pusht panahi farmate they. Jis tharah buzurgane deen auliya-e-kiram aap ki majlise ilaj mein hazri hoti usi taraha peer-o-murshid saheb-e-qibla ki muqthalif darghaon mein(mesali thaan ke sath)aapki hazri hothi. Wahan ke jinn aur shaitan, sahr aur aasaib ko daffa kar de tea they.

Aap ki vilayath aur karamatoam ki shuharath sun kar dor daraz maqamath se mariz aane lage jin mein wakil, doctor, judge, munsif, lecturer, professor, engineer, ameer, ghareeb, mard, aurath, hindu, musalman, isaayee ilaj ke liye hazir hothe. Saheb qibla zinda wali inko faizyab farmatey aur ballaoon se pak karke rukhsath farmatey they.

Aap ko ilmi mahaol bahut pasand tha.killai chunke ek dihat tha wahaan ilmi mahaol nahi tha.Aap ko hamesha baichani aur be itminani si rehti thi .is bina par sahebe qibla apna qiimti waqt kitaboon ke muta’le mein sarf karte the . aap ke seene mein dhadakta hua hssaas dil maujood tha.

Khanjar chale kisi pe tadapte hain ameer Sare jahaan ka dard hamere jigar mein hai

Aap hindu muslim itihaad male- milaap ke haami aur amli namoona the. killai mein 17 saal ki zindagi misali zindagi thi. Kisanoon aur mazdooron ke saath rehmana bartoov karte the.

ZINDA WALI KA ZINDA SAR CHASHMA

HAZRAT SHAH RAHMATULLAHI KA EK chashma JO GULAB JhARRA KE NAAM SE MASHHOOR HAI. Yeh aap ki karamat se baraamad jharra tha ke mausame garma mein pani ki Qillat bhi thi.sab loog is mithe pani ke dil dada aur khahaan the. Hukumatne is karye main mithe pani ki bahut koshish ki par jahaan bhi boar dala gaya khara aur namkeen pani hi nikla.

Lekin mere zinda wali ne gulab jharre ke 100 ft mein ek kuaan’ khudwaya to wahaan se mitha pani nikla. Jo gulab jharre ka ham maza hai. Aaj kal loog dono chashme se sairab hote hai.

AAP KI ISLAHI KHIDMAATH

Aap Sunni Aquidha ke muballiq aur alam bardar they. Mutthakhideen mein salf saliheen aarafeen aulia Allah ke sahi khadam ba khadam par gaam zaan they. Wahabiyat, Najdiyat, Deobandiyat, Jamaat – I – Islami waghairah ko bad Mazhab Baathil wa Gumrah zal wa muzal aur bar-khud galath nazariyath wa khayalaath ke saqt mukalift they. Choute choute pamphlet wa ishtiyarat ke zariye inki tardeed ki aur muzukkara jammaton ko batil aur gumrah Qaraar diya aur in say bache rahne ki taakeet farmate they. Aap Farmaya karte they ke saahaaaba- e- ikraam taabayeen tabo taboyeen salf –o- sallayeena iyma-e-mujtadeen aur auliyaikram ka masklak hi bar haq hai. Tadam aakir in baatin gumrah jammatho ka aur firkhon ka dat kar muqabila karte they. Ishtiharaat aur kitaab- che shaye karte they. Aap isme bade be- laus aur bade be baagh they.

Aayin jawwan marddan haqq goyi who be baki
Allah ke sheron ko aati nahi rubayi ( Iqbal)

Chand sal se aap ki sahat kharaab thi, Dil ki shikayath la haq ho gayi thi. Doctoron hakeemo ka ilaaj jari tha, rafta rafta ye marz dard ye shadeed surat iqthityaar kar gaya . Marz badtha gaya joon joon dawa ki.

Aap par man kashaf ho gaya tha. Ki ye marz al maut hai. Marz al maut mein kya madat ho sakti hai. Aakhir who saath aa pahunchi, aap dae - ye-ya- ajal ko labbaik kahthe huwe wisale ba haq ho gaye. Abadhi sukoon haasil ho gaya .Dard ki thakleef aur ilaaj se mustagni ho gaye. Ba- roz shamba subah nau(9) baje aapki rooh mubarak jasad unsari se aalam e baala ki taraf parwaz hogayi ( 8th Jamadil awwal 1412 Hijri – 16th November 1991). Innalilllahi wa innailahi rajiyun.

SAHEB-E-QIBLA KA INTHEKHAAL PAR MALAAL

Saheb-e-qibla ki inthekhaal ki dardnaak khabar bijli ki tarah phail gayi Killai ke hindu, muslim , mard , aurathein ask-e-gam bahaathe hue aa pahonche. Killa ek maatham kada bangaya. Baarish aur toofan ki wajahse raaste bandh they. Killai-waloon aur aapke walid ka bhi yahi mashwora tha ki Killai he mae thadfeen ho jaye . Killai mein dafan hona saheb-e-qibla ko manzoor na tha. Aap ki wasiath ke mutabiq mubarak lash ku Thanjavur laya gaya. Aasar-e-Shariff mein mureedeen aur muthaqideen ki ka ek badi thaadaath toot padi aur sabki aankhen ashk baar chehre udaas dil gamzada they .Thadafeen aur Thaqfeen ke baad Aasar-e-Shariff mein aapke farzand aur khalifaye saani SYED SHA ABDUL RASOOL SAQAF urf SYED VAJIHUN NAQI SAQAF QADRI SHUTTARI LATIFI ne namaaz-e-janaza padhaayi. Janaaze ke homra mureedon ki kaseer tadaath ke sath janaaza kaandha badaltha hua apna aabayi khabristhaan pahuncha. Is zinde wali Saheb-e- kashf-o-karamaath ko aagoshe-e-lahab mein sula diya gaya. Is –qazi- ne hadees-o- quran aur magzan-e-tasawuf irfaan ku zaer-e-khak super-day-khak kar diya gaya.

Mouth tajdeed mazak zindagi ka naam hai
Khwaab ke parde mein baedaari ka ek paigaam hai

PARDA FARMANAE KE BAAD AAP KA FAIZ

Har insaan har mureed yahi samajhtatha ke Saheb-e-qibla ke faiz se mehroom ho gaye. Laikin Zinda wali ka faiz aur inki faiz rasani ka yeh aalam hai ki parda farmaane ke baad bhi logoon ko faiz pahuncha rahen hain balaayein dafaa ho rahi hain. Jin-o-shaitaan pakde jaate hain jadoo aur sahar ke asraath duur hothein hain. Saikadoon mard aur aurathein aap ke mazaar-e-puranwaar par sachche dil se aqidath mandi se isthefaad karte hain. Aapka roohani faiz sab par jaari-o-saari hai. Jis tarah aapne ain hayath mein jadoo, sahar nikaalte they jinn shaitaan aur aasaib-o-balaaon ko dafaa karte they, parda farmane ke baad bhi qidmathe khalk, ye silsila faiz-e-rasani badasthoor jaari hai. Aap ke dar e dargha ka faiz har kisi ko haasil hotha hai jo sachche dilse ziyarath karta hai. Aaj bhi Hindu-Musalmaan aapke mazaar-e-sharif mein sachche dilse hazir ho kar faiz haasil kartei hain.

Location Of Dargah

Address:
Saheb Waliullah Dargha,
Sha Mian Thaikaal,
Abraham Pandithar Road,
Thanjavur-613001.

Dargha Is Situated At The Heart Of The Thanjavur Town.
Thanjavur Is Located Towards South Of Chennai. Approximately Its Around 350KMS From Chennai. Nagoor-E-Sharif Is Approximately 95 Kms From Thanjavur

Railway Station:

Thanjavur Junction

Nearest Airport:

Trichchirapalli .Approximately 55 Kms From Thanajvur.

Sign up for Dargah Idhal